Main lafzon se kuch bhi izhar nahi karta...
Iska Matlab ye to nahi ki main tujhe pyar nahi karta...
Chahta hu main tujhe aaj bhi...
Par teri soch me apna waqt bekar nahi karta...
Tamasha na ban jay meri Mohabbat kahin...
Isliye apne dard ko Aashakar nahi karta...
Jo kuch Mila hai Usi me khush hun...
Tere liye Khuda se takrar nahi karta...
Par kuch to baat hai teri fitrat me zalim...
Warna tujhe chahne ki Khata baar baar nahi karta...!!!
No comments:
Post a Comment