Showing posts with label AHMAD FARAZ. Show all posts
Showing posts with label AHMAD FARAZ. Show all posts

Friday, 27 June 2014

Woh dushman-e jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha,




Woh dushman-e jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha,
Ab kis se kahen koi humara bhi kabhi tha,

Utra hai ragg-o-pai mein toh dil kat sa gaya hai,
ye zehar-e judaai ki gawaara bhi kabhi tha,

Har dost jahan abr-e gurezaan ki tarah hai,
ye shehar kabhi shehar humara bhi kabhi tha,

Titli ke taaqub mein koi phool sa bachcha,
Aisa hi koi khwaab humara bhi kabhi tha,

Ab agle zamane ke milen log toh puchhen,
Jo haal humara hai tumhara bhi kabhi tha,

Har bazm mein hum ne usey afsurda hi dekha,
kahte hain ‘faraz kabhi anjuman-aara bhi tha...!!!

Thursday, 26 June 2014

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad,




Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad,
Ek diya jalta raha baarish ke baad

Mere behte hue Aansuo ko dekh kar,
Ro parri thandi hawa baarish ke baad,

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad

Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein,
Ek sitaara ro diya baarish ke baad

Apne ghar ki har kachi deewaar par,
Naam tera likh diya "K" baarish ke baad...!!!

MOHSIN NAQVI Vs AHMED FARAZ Vs SYED WASI SHAH




MOHSIN NAQVI

Bikny Waly Or hain Ja Kar Khared Lo "Mohsin"
Hum Log Qeemat Sy Ni Qismat Sy Mila Karty hian...!!!

AHMED FARAZ

Chaho Tu Ik Nazar May Khareed Lon Is Ko "Faraz,"
Jis Ko Naaz Hy Ky Bikta Ni Hon May....!

SYED WASI SHAH

Kisi Ki Majal Ky Hum Ko Khared Saky "WASI",
Hum Tu KHud Hi Bik Jaty Hain Kheridar DEkh Kar...!!!

Silsily Tor Gya Wo Sabi Jaty Jaty,




Silsily Tor Gya Wo Sabi Jaty Jaty,
Warna Itna Tu Maraham Thay Ky Aaty Aaty,

Shikwa Khulmat Shab Sy Tu Kahin Behtar Tha,
Apny Hisy Ki Koi Shama Jalaty Jalaty,

Kitna Asan Tha Tere Hijar May Marna Janaa,
Phir Bi Ik Umar Lagi Jaan Sy Jaty Jaty,

Jashan Mutaqal Hi Na Barpa Hua Warna Hum Bi,
Pabjowala Hi Sahi Nachty Ghaty Ghaty,

Is Ki Wo Jany Isay Pass Wafa Tha ky na Tha,
Tum Faraz Apni Taraf Sy Tu Nibhaty Jaty...!!!

Wednesday, 25 June 2014

Dil Me Har Raaz Daba K Rakhte Hain,




Dil Me Har Raaz Daba K Rakhte Hain,
Honto Pay Muskan Saja K Rakhtey Hain,
Ye Duniya Sirf Khushi Main Saath Deti Hay,
Is Liye Hum Apne Aanso Chupa K Rakhte Hain...!!!

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad,




Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad,
Ek diya jalta raha baarish ke baad,

Mere behte hue Aansuo ko dekh kar,
Ro parri thandi hawa baarish ke baad,

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar,
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad,

Yaad teri odh kar mein so gayi,
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad,

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein,
Ek sitaara ro diya baarish ke baad,

Apne ghar ki har kachi deewaar par,
Naam tera likh diya "S" baarish ke baad...!!!

Kyu Tabiyat Kahi Therti NHi,



Kyu Tabiyat Kahi Therti NHi,
Dosti Tu Udas Karti Nhi,

Hum Hamesha K Sair Chasm-e-Sahi
Tuj Ko DEkhain Tu Ankh Barhti Nhi,

Shab-e-Hijaran Bhi Roz-e-bad Ki Trah,
Kat Tu Jati Hay Par Guzarti Nhi,
 
Yeh Muhabbat Hay,Sun! Zamany Sun!
Itni Asaniyon Sy Marti Nhi,

 Jis Tarah TUm Guzarty Ho Faraz,
Zindagi Is Tarah Zugarti Nhi,

Zindagi Sy Yehi Gila Hay Mujy,




Zindagi Sy Yehi Gila Hay Mujy,
Tu Bhoot Dair Sy Mila Hay Mujy,

Tu Muhabbat Sy Koi Chal Tu Chal,
Haar Jaany Ka Hosla Hay Mujy,

Dil Darakta Nhi Tikta Hay,
Kal Jo Khuwaish Thi Abla Hay Mujy,

Humsafar Chahiya Hajoom Nhi,
Ik Musafar Bhi Kafla Hay Mujy,

Koe Kan Ho Ky Qais Ho Ky Faraz,
Sab May Ik Shaks Hi Mila Hay Mujy...!!!

Khush Naseeb hoty hain Wo Log,



Khush Naseeb hoty hain Wo Log,
Jin Ki Zindagi Ma Koi Gham Ni Hota,
Phool Khilay Rehtay Hain Us Ky Charo Taraf,
Koi Kanta Koi Zakham Ni Hota...!!!

Wafa Ki Qadar Tu Aaj Bi Bhoot Hay Faraz,




Wafa Ki Qadar Tu Aaj Bi Bhoot Hay Faraz,
Faqat Mit Chukay Hain Toot Ky Chahnay Waly...!!!

Qatal Chuptay Thay Kabi Sang Ki Dewar Ky Bech,




Qatal Chuptay Thay Kabi Sang Ki Dewar Ky Bech,
Ab Tu Khulnay  Lagay Muktal Bary Bazar Ky Bech...!!!

Hum Nend Ky Ziada Shokeen Tu Nhi Faraz,




Hum Nend Ky Ziada Shokeen Tu Nhi Faraz,
Kuch Khuwab Na Dekhain Tu Guzara Ni hota...!!!

Kon Kis Ky Sath Kitna Mukhlis Hay Faraz,




Kon Kis Ky Sath Kitna Mukhlis Hay Faraz,
Wakt Har Shaks Ki Aukqaat Bata Deta Hay...!!!

Yahy soch kar us ki har baat ko sach mana hay FARAZ,



Yahy soch kar us ki har baat ko sach mana hay FARAZ,
K itnay khubsoorat Lub jhoot kesay bolain gay...!!!

Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz,




Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz,
Auron k $aharay to Janazay utha kartay hain...!!!

Hum pe faqat ilzaam k hum hain zuban daraz,




Hum pe faqat ilzaam k hum hain zuban daraz,
Hum ne to bus kaha tha hamain tum se piyar hai...!!!

Wo Bewafa na tha youn hi badnaam ho gya Faraz,




Wo Bewafa na tha youn hi badnaam ho gya Faraz,
Hazaron chaheny waly thy kis kis say wafa karta...!!!

Tera Na Ho Saka To Mar Jaon Ga Faraz,




Tera Na Ho Saka To Mar Jaon Ga Faraz,
Kitna Khobsurat Wo Jhoot Bolta Tha...!!!

Tuesday, 24 June 2014

Kon data ha umar bhar ka sahara aay "Faraz"




Kon data ha umar bhar ka sahara aay "Faraz" 
LOG tu JANAZAY man bhi kandhay badaltay rahtay hein...!!!

Ham na badlein gay waqt ki raftaar kay sath "Faraz"'




"Ham na badlein gay waqt ki raftaar kay sath "Faraz"'
Ham jab b milen gay andaz purana hoga...!!!
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets