
Tanhaai Mein Ajeeb Zamane Ki Wafa Dekhti Rahi ,
Umar Bhar Apna Ghar Tanha Dekhti Rahi..
Kahin Na Kahin Toh Badal Hi Jaate Hain Silsile ,
Magr Main Jahan Gayi Sehra Dekhti Rahi..
Jaane Kyon Qatraate Hain Log Mujhe Milne Se ,
Kal Shab Derr Talak Aaina Dekhti Rahi..
Paani Maangte Maangte Mere Honth Patthar Ho Gaye ,
Woh Shakks Mashkiza Liye Khada Dekhta Raha..
Be-gunaah Thi Phir Bhi Sar Jhukaye Hue ,
Sitamgar Ki Sitam Ki Inteha Dekhti Rahi..
Umar Bhar Mohabbat Ka Kuchh Yun Silsila Raha ,
Main Usey Aur Woh Duniya Dekhta Raha..
Kahungi KHUDA Se Youm-e Hisaab Najeeb Ki,
Zamana Meri Barbaadi Ka Tamasha Dekhta Raha ...
No comments:
Post a Comment