Saturday, 29 March 2014

Apne Markaz Se Agar Duur Nikal Jao Ge,




Apne Markaz Se Agar Duur Nikal Jao Ge,
Khwaab Ho Jao Ge, Afsano Mein Dhal Jao Ge,

Ab To Chehron Ke Khad-O-Khal Bhi Pehle Se Nahin,
Kis Ko Maloom Tha Tum Itne Badal Jao Ge,

Apne Parcham Ka Kahin Rang Bhula Mat Dena,
Surkh Sholon Se Jo Khelo Ge To Jal Jao Ge,

De Rahe Hain Tumhain To Log Rafaqat Ka Fareb,
In Ki Tareekh Parho Ge To Dehal Jao Ge,

Apni Mitti Pe Hi Chalny Ka Saleeqa Seekho,
Sang-E-Mar.Mar Pe Chalo Ge Tou Phisal Jao Ge,

Khwabgahon Se Nikalte Hue Dartay Kyon Ho,
Dhoop Itni To Nahin Hai Ke Pighal Jao Ge,

Taiz Qadmon Se Chalo Aur Tasadam Se Bacho,
Bheer Mein Sust Chalo Ge To Kuchal Jao Ge,

Humsafar Dhoondo Na Rahbar Ka Sahara Chaho,
Thokarain Khao Ge To Khud Hi Sambhal Jao Ge,

Tum Ho Ek Zinda Jawed Riwayat Ke Chiraagh,
Tum Koi Shaam Ka Suraj Ho Ke Dhal Jao Ge,

Subh Sadik Mujhe Matloob Hai Kis Se Mangon,
Tum To Bholay Ho, Chraghon Se Behal Jao Ge...!!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets