
Tere ishq ki intaha chahta hun,
meri sadgi dekh kya chahta hun,
sitam ho k ho wada-e-behijabi,
koi bat sabr-azma chahta hun,
ye jannat mubarak rahe zahidon ko,
k main ap ka samna chahta hun,
koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil,
chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun,
Zara sa main dil hun magar shook itna,
wohi lan-tarani sunana chahta hun,
bhari bazm mein raz ki bat kah di,
bara be-adab hun, saza chahta hun...!!!
No comments:
Post a Comment