
Na shaaor mein jawani, na khayal mein rawani..
Koi sun ke kya karega, meri dukh bhari kahani..
Na zawaal nagehani, Na arooj jaawdani..
Meri zindagi ka unwan, Fakt aik lafz “Faani”..
Yeh shikast ka jahanum,kahin phir bharak na uthey..
Mere ishq ke khandar par, na karain woh gulfishani..
Na gumaan yaar in per, Na jamal e yaar in mein..
Tere kokab o kamar se na behel saki jawani..
Mujhe aur zindagi de, ke hai dastaan adhoori..
Meri maut se na hogi, mere gham ki tarjumani..
No comments:
Post a Comment