
Woh toh khushbu hai hawaon mein bikhar jayega,
Masla phool ka hai phool kidhar jayega,
Hum toh samjhe the ki ek zakhm hai bhar jayega,
Kya khabar thi ki ragg-e jaan mein utar jayega,
Woh hawaon ki tarah khanabajan phirta hai,
Ek jhounka hai jo aayega guzar jayega,
Woh jab aayega toh phir uss ki rafaqat ke liye,
Mausam-e gul mere aangan mein thehar jayega,
Aakhir woh bhi kahin rett pe baithi hogi,
Tera ye pyaar bhi dariya hai utar jayega...!!!
No comments:
Post a Comment