
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata,
Kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata,
Yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai,
Jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata,
Who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi,
To phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata,
Bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
Hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata,
Kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain,
Tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata,
Bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein,
Mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata...!!!
No comments:
Post a Comment