
Jaan jis mein hy usy rizq KHUDA deta hy"
"WO to pathar mein bhi keeray ko ghiza deta hy"
.
"Din ko suraj se zamany ko ziya deta hy"
"Raat ko asmaan chand taaron se saja deta hy"
.
"Gharq kr deta hy Firoun ka lashkar Pal mein"
"Wo Qafila-e-Moosa ko paar laga deta hy"
"Aag mein daal diye jate hain aashiq us k"
"Aur wo aag ko Gul-e-gulzar bana deta hy"
"Wo azal se hy Aor abd tak rahe ga"
"Usi par Eeman, insan ko insaan bana deta hay"
No comments:
Post a Comment