Masla phul ka hai phul kidhar jayega,
Ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega,
Kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega,
Wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai,
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega,
Wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye,
Mausam-e-gul mere angan main thahar jayega,
Akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega...!!!
No comments:
Post a Comment