Wednesday, 20 November 2013

December ab kay aao tou...



December ab kay aao tou...
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana...
Kay jis may jugnoo'n ki kehkashaain jhilmilaati hain
Jahan titlee kay rangoo'n sey fazaain muskuraati hain
Wahan chaaro'n taraf khushboo wafa ki hai
Aur uss ko jo bhi pouron sey Nazar sey chhoo gaya pal bhar
Mehek uthaa...


December ab kay aao tou...
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana...
Jahan per rait kay zarey sitaarey hain...
Gul-o-bulbul, maah-o- anjum wafa kay istiaarey hain...
Jahan dil woo samander hai , jiss kay kaee kinaarey hain...
Jahan qismat ki daive muthiyon mein jagmagaati hai...
Jahan dhakan ki lay per bey-khudi nagmein sunaati hai...


December hum sey na poocho...
hamaarey sheher ki baabat...
Yahan aankhoun mein guzrey kaarwaan ki gard thehri hai...
Labo'n per al-atsh hain, batan mein faaqey pinaptey hein...
Muhabbat barff jaisee hai yahaan Aur dhoop kay khaitoun mein ugti hai...
Yahan jab subah aati hai Tou shab kay saarey sapney Raakh kay aik dhair ki soorat mein dhaltey hein...
Yahan jazboun ki tooti kirchiyaan aankhoon mein chupbhti hain...
Yahan dil kay lahoo mein Apne Laikh'on ko dabo ker ham Sunehray khwaab buntey hein...
Phir unn khwaaboun mein jeetay hein...
Inhi khwaaboun pey martey hein...
Dareedah rooh ko lafzoon sey seena goo nahin mumkin...


Magar phir bhi December...
Ab ke aao Tou...
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets